kahīṅ dūr jab din ḍhal jāe
sāṇjh kī dulhan badan churāe
chupke se āe
mere khayāloṅ ke āṇgan meṅ
koī sapnoṅ ke dīp jalāe, dīp jalāe
kahīṅ dūr …
kabhī yūṇhīṅ, jab huīṅ, bojhal sāṇseṅ
bhar āī baiṭhe baiṭhe, jab yūṇ hī āṇkheṅ
tabhī machal ke, pyār se chal ke
chhue koī mujhe par nazar na āe, nazar na āe
kahīṅ dūr …
kahīṅ to ye, dil kabhī, mil nahīṅ pāte
kahīṅ se nikal āe, janmoṅ ke nāte
ghanī thī uljhan, bairī apnā man
apnā hī hoke sahe dard parāye, dard parāye
kahīṅ dūr …
dil jāne, mere sāre, bhed ye gahre
kho gae kaise mere, sapne sunahre
ye mere sapne, yahī to haiṅ apne
mujhse judā na hoṅge inke ye sāye, inke ye sāye
kahīṅ dūr …