kabhī kālī ratiyā, kabhī din suhāne
kismat kī bāte to kismat hī jāne
o beṭā jī,
are o bābū jī, kismat kī hav kabhī naram, kabhī garam
kabhī naram-naram, kabhī garam-garam,
kabhī naram-garam naram-garam re
o beṭā jī
baṛe akaṛ se beṭā nikle ghar se actor hone
vāh rī kismat, vāh rī kismat, kismat meṅ the likhe bartan dhone
are bhaī likhe bartan dhone
o beṭā jī, jīne kā mazā kabhī naram, kabhī garam …
duniyā ke is chiṛiyā ghar meṅ tarah tarah kā jalvā
mile kisī ko sūkhī roṭī, kisī ko pūrī halvā
are bhaī kisī ko pūrī halvā
o beṭā jī, khichaṛī kā mazā kabhī naram, kabhī garam …
dard diyā to thoṛā thoṛā, khuśhī bhī thoṛī thoṛī
vāh re mālik, vāh re mālik, duḥakh aur sukh kī khūb banāyī joṛī
are vāh khūb banāyī joṛī
o beṭā jī, jīvan kā naśhā kabhī naram, kabhī garam …