Akele hain, to k‌yaa gham hai

अकेले हैं, तो क्‌या ग़म है
Year
Language

अकेले हैं, तो क्‌या ग़म है
चाहें तो हमारे बस में क्‌या नहीं
बस इक ज़रा, साथ हो तेरा
तेरे तो हैं हम, कब से सनम

1) अब ये नहीं सपना, ये सब है अपना
ये जहाँ … हो … प्यार का
छोटा सा ये आशियाँ बहार का, बस इक ज़रा …

2) फिर नहीं टूटेगा, हम पे कोई तूफ़ान
साजना … हो … देखना
हर तूफ़ां का मैं करूंगा सामना, बस इक ज़रा …

3) अब तो मेरे साजन बीतेगा हर दिन
प्यार की … हो … बाहों में
रंग जाएगी रुत तेरी अदाओं से, बस इक ज़रा …

akele haiṅ, to k‌yā ġham hai
chāheṅ to hamāre bas meṅ k‌yā nahīṅ
bas ik zarā, sāth ho terā
tere to haiṅ ham, kab se sanam

1) ab ye nahīṅ sapnā, ye sab hai apnā
ye jahāṇ … ho … pyār kā
chhoṭā sā ye āśhiyāṇ bahār kā, bas ik zarā …

2) phir nahīṅ ṭūṭegā, ham pe koī tūfān
sājnā … ho … dekhnā
har tūfāṅ kā maiṅ karūṅgā sāmnā, bas ik zarā …

3) ab to mere sājan bītegā har din
pyār kī … ho … bāhoṅ meṅ
raṅg jāegī rut terī adāoṅ se, bas ik zarā …