Ajee o taash ke baavan patte panje chhak‌ke satte

अजी ओ ताश के बावन पत्ते पंजे छक्‌के सत्ते
Work
Year
Language

अजी ओ ताश के बावन पत्ते पंजे छक्‌के सत्ते
सब के सब हरजाई मैं तो लुट गया
मैं तो लुट गया राम दुहाई -2
ताश के बावन …

दान यतीमों को देता तो दानी मैं कहलाता
ख़ुश हो जाती बीवी जो उसके गहने बनवाता -2
मैने काग़ज़ की बेगम से काहे आँख लड़ाई
मैं तो लुट गया …

अपने दिल का चैन भी हारा और दौलत भी हारी
मालिक ने इंसान बनाया मैं बन गया जुआरी -2
गली-गली में हो गई यारों आज मेरी रुसवाई
मैं तो लुट गया …

ajī o tāśh ke bāvan patte paṅje chhak‌ke satte
sab ke sab harjāī maiṅ to luṭ gayā
maiṅ to luṭ gayā rām duhāī -2
tāśh ke bāvan …

dān yatīmoṅ ko detā to dānī maiṅ kahlātā
khuśh ho jātī bīvī jo uske gahne banvātā -2
maine kāġhaz kī begam se kāhe āṇkh laṛāī
maiṅ to luṭ gayā …

apne dil kā chain bhī hārā aur daulat bhī hārī
mālik ne iṅsān banāyā maiṅ ban gayā juārī -2
galī-galī meṅ ho gaī yāroṅ āj merī rusvāī
maiṅ to luṭ gayā …