अजनबी कौन हो तुम, जब से तुम्हे देखा है
अजनबी कौन हो तुम, जबसे तुम्हे देखा है
सारी दुनिया मेरी आँखों में सिमट आयी है
तुम तो हर गीत में शामिल थे तरन्नुम बनके
तुम मिले हो मुझे फूलों का तबस्सुम बनके
ऐसा लगता है के बरसों से शनासाई है
ख्वाब का रंग हकीकत में नजर आया है
दिल में धड़कन की तरह कोई उतर आया है
आज हर सांस में शहनाई सी लहराई है
कोई आहट सी अंधेरो में चमक जाती है
रात आती है तो, तनहाई महक जाती है
तुम मिले हो या मोहब्बत ने गज़ल गाई है
ajanbī kaun ho tum, jabse tumhe dekhā hai
sārī duniyā merī āṇkhoṅ meṅ simaṭ āyī hai
tum to har gīt meṅ śhāmil the tarannum banke
tum mile ho mujhe phūloṅ kā tabassum banke
aisā lagtā hai ke barsoṅ se śhanāsāī hai
khvāb kā raṅg hakīkat meṅ najar āyā hai
dil meṅ dhaṛkan kī tarah koī utar āyā hai
āj har sāṅs meṅ śhahnāī sī lahrāī hai
koī āhaṭ sī aṅdhero meṅ chamak jātī hai
rāt ātī hai to, tanhāī mahak jātī hai
tum mile ho yā mohabbat ne gazal gāī hai