bhū: āvāz dī hai āj ik nazar ne
yā hai ye dil ko gumāṇ
dohrā rahīṅ haiṅ jaise fazāyeṅ
bhūlī huī dāstāṇ - 2
ā: lauṭ āyī haiṅ phir rūṭhī bahāreṅ
kitnā hasīn hai samā
duniyā se kah do na ham ko pukāre
ham kho gaye haiṅ yahāṇ - 2
bhū: jīvan meṅ kitnī vīrāniyāṇ thī
chhāyī thī kaisī udāsī
sunkar kisī ke kadmoṅ kī āhaṭ
halchal huī hai zarā sī - 2
sāgar meṅ jaise lahreṅ uṭhīṅ haiṅ
ṭūṭī haiṅ khāmośhiyāṇ
dohrā rahīṅ haiṅ jaise fazāyeṅ
bhūlī huī dāstāṇ
ā: tūfān meṅ khoī kaśhtī ko ākhir
mil hī gayā phir kinārā
ham chhoṛ āye khāboṅ kī duniyā
dil ne tere jab pukārā - 2
kabse khaṛī thī bāheṅ pasāre
is dil kī tanhāiyāṇ
duniyā se kah do na ham ko pukāre
ham kho gaye haiṅ yahāṇ
bhū: ab yād āyā kitnā adhūrā
ab tak thā dil kā fasānā
ā: yūṇ pās āke dil meṅ samāke
dāman na hamse chhuṛānā - 2
ā: jin rāstoṅ par tere kadam hoṅ
maṅjil hai merī vahāṇ
duniyā se kah do na ham ko pukāre
ham kho gaye haiṅ yahāṇ
lauṭ āyī haiṅ phir rūṭhī bahāreṅ
kitnā hasīn hai samāṇ
duniyā se kah do na ham ko pukāre
ham kho gaye haiṅ yahāṇ