Aisee teree yaad aatee hai jaise jaan meree jaatee hai

ऐसी तेरी याद आती है जैसे जान मेरी जाती है
Work
Year
Language

ऐसी तेरी याद आती है जैसे जान मेरी जाती है
मेरी चूड़ी खनक जाती है मेरी चुनरी खसक जाती है

ऐसी तेरी याद आती है जैसे जान मेरी जाती है
दिल मेरा मचल जाता है सीने से निकल जाता है
ऐसी तेरी याद आती है …

वह गीत के फूल वह जान लेके
आ प्यार के वह सुबह शाम लेके
कभी चुप रह गए कभी ग़म सह गए
तुझको मेरी प्रीत बुलाती है
ऐसी तेरी याद आती है …

बनके जुदाई मिलन जलता है
अंग अंग मेरा सजन जलता है
सावन की रात में बदन जलता है
मेरे दिल में आग लगती है
ऐसी तेरी याद आती है …

aisī terī yād ātī hai jaise jān merī jātī hai
merī chūṛī khanak jātī hai merī chunrī khasak jātī hai

aisī terī yād ātī hai jaise jān merī jātī hai
dil merā machal jātā hai sīne se nikal jātā hai
aisī terī yād ātī hai …

vah gīt ke phūl vah jān leke
ā pyār ke vah subah śhām leke
kabhī chup rah gae kabhī ġham sah gae
tujhko merī prīt bulātī hai
aisī terī yād ātī hai …

banke judāī milan jaltā hai
aṅg aṅg merā sajan jaltā hai
sāvan kī rāt meṅ badan jaltā hai
mere dil meṅ āg lagtī hai
aisī terī yād ātī hai …