Ai yaar sun yaaree teree mujhe zindgee se bhee

ऐ यार सुन यारी तेरी मुझे ज़िन्दगी से भी
Work
Year
Language

ऐ यार सुन यारी तेरी मुझे ज़िन्दगी से भी प्यारी है -2
जवाब इक नहीं हमारा कहीं बड़ी ख़ूब जोड़ी हमारी है
ऐ यार सुन …

क्‌या देखता हूँ मैं कब देखता हूँ
तेरी नज़र से सब देखता हूँ
तेरी क़सम ये हाथ हैं मेरे मगर
इन हाथों में ताक़त तुम्हारी है
ऐ यार सुन …

दिल में लगाई है तस्वीर तेरी
तेरा नसीबा है तक़दीर मेरी
तुम दोनों ने जो कुछ कहा मैने सुना
मगर अब सुनो मेरी बारी है
ऐ यार सुन …

हमसे जो उलझे वो होगा दीवाना
आवाज़ तू दे मैं बाँधूँ निशाना
उड़ते हुए पंछी के पर हम काट लें
कि मैं जाल हूँ तू शिकारी है
ऐ यार सुन …

हम हैं जवानी के दिन-रात जैसे
लगता है बचपन से है साथ जैसे
दिल यार का जाँ यार की अपना है क्‌या
ये वर्दी भी तो सरकारी है
ऐ यार सुन …

ai yār sun yārī terī mujhe zindgī se bhī pyārī hai -2
javāb ik nahīṅ hamārā kahīṅ baṛī khūb joṛī hamārī hai
ai yār sun …

k‌yā dekhtā hūṇ maiṅ kab dekhtā hūṇ
terī nazar se sab dekhtā hūṇ
terī qasam ye hāth haiṅ mere magar
in hāthoṅ meṅ tāqat tumhārī hai
ai yār sun …

dil meṅ lagāī hai tasvīr terī
terā nasībā hai taqdīr merī
tum donoṅ ne jo kuchh kahā maine sunā
magar ab suno merī bārī hai
ai yār sun …

hamse jo uljhe vo hogā dīvānā
āvāz tū de maiṅ bāṇdhūṇ niśhānā
uṛte hue paṅchhī ke par ham kāṭ leṅ
ki maiṅ jāl hūṇ tū śhikārī hai
ai yār sun …

ham haiṅ javānī ke din-rāt jaise
lagtā hai bachapan se hai sāth jaise
dil yār kā jāṇ yār kī apnā hai k‌yā
ye vardī bhī to sarkārī hai
ai yār sun …