Ai nargis-e-mastaanaa, bas itnee shikaayat hai

ऐ नर्गिस-ए-मस्ताना, बस इतनी शिकायत है
Work
Year
Language

ऐ नर्गिस-ए-मस्ताना, बस इतनी शिकायत है
समज़ा हमे बेगाना, बस इतनी शिकायत है

हर राह पर कतराये, हर मोड़ पर घबराये
मुँह फेर लिया है तुमने, हम जब भी नज़र आये
हम को नहीं पहचाना, बस इतनी शिकायत है

हो जाते हो बरहम भी, बन जाते हो हमदम भी
ऐ साकी-ए-मयखाना, शोला भी हो, शबनम भी
खाली मेरा पैमाना, बस इतनी शिकायत है

हर रंग कयामत है, हर ढंग शरारत है
दिल तोड़ के चल देना, ये हुस्न की आदत है
आता नहीं बहलाना, बस इतनी शिकायत है

ai nargis-e-mastānā, bas itnī śhikāyat hai
samazā hame begānā, bas itnī śhikāyat hai

har rāh par katrāye, har moṛ par ghabrāye
muṇh pher liyā hai tumne, ham jab bhī nazar āye
ham ko nahīṅ pahchānā, bas itnī śhikāyat hai

ho jāte ho baraham bhī, ban jāte ho hamdam bhī
ai sākī-e-maykhānā, śholā bhī ho, śhabnam bhī
khālī merā paimānā, bas itnī śhikāyat hai

har raṅg kayāmat hai, har ḍhaṅg śharārat hai
dil toṛ ke chal denā, ye husn kī ādat hai
ātā nahīṅ bahlānā, bas itnī śhikāyat hai