Ai meree zohraa-jabeen, tujhe maaloom naheen

ऐ मेरी ज़ोहरा-जबीं, तुझे मालूम नहीं
Work
Year
Language

ऐ मेरी ज़ोहरा-ज़बीं
तुझे मालूम नहीं
तू अभी तक है हंसीं
और मैं जवाँ
तुझपे क़ुरबान मेरी जान मेरी जान
ऐ मेरी …

ये शोखियाँ ये बाँकापन
जो तुझ में है कहीं नहीं
दिलों को जीतने का फ़न
जो तुझ में है कहीं नहीं
मैं तेरी
मैं तेरी आँखों में पा गया दो जहाँ
ऐ मेरी …

तू मीठे बोल जान-ए-मन
जो मुस्कुराके बोल दे
तो धडकनों में आज भी
शराबी रंग घोल दे
ओ सनम
ओ सनम मैं तेरा आशिक़-ए-जाबिदाँ
ऐ मेरी …

ai merī zohrā-zabīṅ
tujhe mālūm nahīṅ
tū abhī tak hai haṅsīṅ
aur maiṅ javāṇ
tujhpe qurbān merī jān merī jān
ai merī …

ye śhokhiyāṇ ye bāṇkāpan
jo tujh meṅ hai kahīṅ nahīṅ
diloṅ ko jītne kā fan
jo tujh meṅ hai kahīṅ nahīṅ
maiṅ terī
maiṅ terī āṇkhoṅ meṅ pā gayā do jahāṇ
ai merī …

tū mīṭhe bol jān-e-man
jo muskurāke bol de
to dhaḍaknoṅ meṅ āj bhī
śharābī raṅg ghol de
o sanam
o sanam maiṅ terā āśhiq-e-jābidāṇ
ai merī …