Ai maamaa haan bhaanje ... maan lo tum meraa kahnaa

ऐ मामा हाँ भांजे ... मान लो तुम मेरा कहना
Year
Language

देखा मामा जितनी की शादियां उतनी हुई बरबादियां
अब तो full stop है ना

ओ भांजे ये वो लड्डू है जो खाए वो पछताए जो न खाए वो भी पछताए
तेरा मामा हूँ लेकिन अब मामा नहीं बनने वाला भांजे

ऐ मामा हाँ भांजे
कुछ बोलो ऐ सुनो
मान लो तुम मेरा कहना ऐसी कुड़ियों से बच के रहना
जो कहती हैं शादी करो करके मरो हाँ
मान लो तुम मेरा कहना
ऐ मामा …

हो जाल मोहब्बत का ये पहले बिछाती हैं
फिर उड़ते पंछी को ये पिंजरे में लाती हैं हाँ
छोड़ो हे हम क्‌या अनाड़ी हैं कह दो अरे हम भी शिकारी हैं
ऐ मामा …

तुम कहो जो मामा हमको वो करना है
शादी वादी करके क्‌या हमको मरना है हाइँ
हाँ भंवरे हम तो हज़ारों के आशिक़ हम तो सितारों के
ऐ मामा …

ठीक जा रहे हो बच्चे

dekhā māmā jitnī kī śhādiyāṅ utnī huī barbādiyāṅ
ab to full stop hai nā

o bhāṅje ye vo laḍḍū hai jo khāe vo pachhtāe jo na khāe vo bhī pachhtāe
terā māmā hūṇ lekin ab māmā nahīṅ banne vālā bhāṅje

ai māmā hāṇ bhāṅje
kuchh bolo ai suno
mān lo tum merā kahnā aisī kuṛiyoṅ se bach ke rahnā
jo kahtī haiṅ śhādī karo karke maro hāṇ
mān lo tum merā kahnā
ai māmā …

ho jāl mohabbat kā ye pahle bichhātī haiṅ
phir uṛte paṅchhī ko ye piṅjre meṅ lātī haiṅ hāṇ
chhoṛo he ham k‌yā anāṛī haiṅ kah do are ham bhī śhikārī haiṅ
ai māmā …

tum kaho jo māmā hamko vo karnā hai
śhādī vādī karke k‌yā hamko marnā hai hāiṇ
hāṇ bhaṅvre ham to hazāroṅ ke āśhiq ham to sitāroṅ ke
ai māmā …

ṭhīk jā rahe ho bachche