Ai khudaa mujhe de pataa mere mahboob kaa

ऐ ख़ुदा मुझे दे पता मेरे महबूब का
Work
Year
Language

ऐ ख़ुदा मुझे दे पता मेरे महबूब का
है तुझसे ये इल्तज़ा मुझे उसके पास ले जा
फूल सी नाज़ुक थी वो इक परी आसमानी
उसकी पाक मुहब्बत थी तेरी मेहरबानी
आखरी इक एहसान कर मुझे यूं ना तड़पा
मुझे उसके पास ले जा
ऐ ख़ुदा मुझे दे पता …

कितने हसीन लम्हों से थी भरी ज़िंदगानी
छोड़ गई यादों में प्यार की हर निशानी
सुन ले फ़रियाद ये मुझे यूं ना तड़पा
मुझे उसके पास ले जा
ऐ ख़ुदा मुझे दे पता …

आँखें हैं नम है ग़म का धुआँ
होने लगी है मेरी जान जुदा
रह जाएंगी बस यादें यहां यादें यहां यादें यहां

ai khudā mujhe de patā mere mahbūb kā
hai tujhse ye iltazā mujhe uske pās le jā
phūl sī nāzuk thī vo ik parī āsmānī
uskī pāk muhabbat thī terī meharbānī
ākhrī ik ehsān kar mujhe yūṅ nā taṛpā
mujhe uske pās le jā
ai khudā mujhe de patā …

kitne hasīn lamhoṅ se thī bharī ziṅdgānī
chhoṛ gaī yādoṅ meṅ pyār kī har niśhānī
sun le fariyād ye mujhe yūṅ nā taṛpā
mujhe uske pās le jā
ai khudā mujhe de patā …

āṇkheṅ haiṅ nam hai ġham kā dhuāṇ
hone lagī hai merī jān judā
rah jāeṅgī bas yādeṅ yahāṅ yādeṅ yahāṅ yādeṅ yahāṅ