Ai jaate hue lamhon zaraa thahro ... to chaloon

ऐ जाते हुए लम्हों ज़रा ठहरो ... तो चलूं
Work
Year
Language

ऐ जाते हुए लम्हों ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो
मैं भी तो चलता हूँ ज़रा उनसे मिलता हूँ
जो एक बात दिल में है उनसे कहूं
तो चलूं तो चलूं हूं हूं हूं हूं
ऐ जाते हुए लम्हों …

ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो
उनके चेहरे की ये नरमियां
उनकी ज़ुल्फ़ों की ये बदलियां
उनकी आँखों के रोशन दिये
उनके होंठों की ये सुर्खियां
सब उनके हैं जलवे मैं चलने से पहले
साँसों में आँखों में ख्वाबों में यादों में
और इस दिल में तुमको छुपा के रखूं
तो चलूं तो चलूं …

ज़रा ठहरो ज़रा ठहरो
मैं कहीं भी रहूं ऐ सनम
मुझको है ज़िंदगी की कसम
फ़ासले आते जाते रहे
प्यार लेकिन नहीं होगा कम
जिन्हें चाहूं जिन्हें पूजूं
उन्हें देखूं उन्हें छू लूं
ज़रा बातें तो कर लूं
ज़रा बाहों में भर लूं
मैं इस चाँद से माथे को चूम लूं
तो चलूं तो चलूं …

ai jāte hue lamhoṅ zarā ṭhahro zarā ṭhahro
maiṅ bhī to chaltā hūṇ zarā unse miltā hūṇ
jo ek bāt dil meṅ hai unse kahūṅ
to chalūṅ to chalūṅ hūṅ hūṅ hūṅ hūṅ
ai jāte hue lamhoṅ …

zarā ṭhahro zarā ṭhahro
unke chehre kī ye narmiyāṅ
unkī zulfoṅ kī ye badliyāṅ
unkī āṇkhoṅ ke rośhan diye
unke hoṅṭhoṅ kī ye surkhiyāṅ
sab unke haiṅ jalve maiṅ chalne se pahle
sāṇsoṅ meṅ āṇkhoṅ meṅ khvāboṅ meṅ yādoṅ meṅ
aur is dil meṅ tumko chhupā ke rakhūṅ
to chalūṅ to chalūṅ …

zarā ṭhahro zarā ṭhahro
maiṅ kahīṅ bhī rahūṅ ai sanam
mujhko hai ziṅdgī kī kasam
fāsle āte jāte rahe
pyār lekin nahīṅ hogā kam
jinheṅ chāhūṅ jinheṅ pūjūṅ
unheṅ dekhūṅ unheṅ chhū lūṅ
zarā bāteṅ to kar lūṅ
zarā bāhoṅ meṅ bhar lūṅ
maiṅ is chāṇd se māthe ko chūm lūṅ
to chalūṅ to chalūṅ …