Ai gangaa maiyaa ... hai dil men mere mere raam

ऐ गंगा मइया ... है दिल में मेरे मेरे राम्
Year
Language

ऐ गंगा मइया ऐ गंगा मइया
तू जाना हमें नाहीं रे हे गंगा मइया
सारी धरती सारा अम्बर गंगा जी के नाम
सारी धरती अरे सारा अम्बर
सारी धरती सारा अम्बर गंगा जी के नाम
है दिल में मेरे मेरे राम सबको मेरा सलाम

वाह वाह आप क्‌या बजाए रहे भइया

चाँद मेरी रातों का सपना सूरज दिन का यार
मेरा सफ़र या मेरा इरादा हर सीमा के पार
एक ही रूप के नाम कई राम कहो या श्याम
है दिल में मेरे …

आगे मेरे सपनों का मेला पीछे मेरे बहार
हरे भरे पेड़ों के नीचे हर मौसम मल्हार
ऐ भइया
मेरे ही सपनों की पूजा मेरी ही सपनों की पूजा
मेरे सुबह-ओ-शाम
है दिल में मेरे …

दूर भले हो मंज़िल मेरी पास है लेकिन ख्वाब
आने वाले कल की लगन में हर पल है बेताब
रस्ता चाहें जैसा हो चलना मेरा काम
है दिल में मेरे …

बस इतना सा ख्वाब है

ai gaṅgā maiyā ai gaṅgā maiyā
tū jānā hameṅ nāhīṅ re he gaṅgā maiyā
sārī dhartī sārā ambar gaṅgā jī ke nām
sārī dhartī are sārā ambar
sārī dhartī sārā ambar gaṅgā jī ke nām
hai dil meṅ mere mere rām sabko merā salām

vāh vāh āp k‌yā bajāe rahe bhaiyā

chāṇd merī rātoṅ kā sapnā sūraj din kā yār
merā safar yā merā irādā har sīmā ke pār
ek hī rūp ke nām kaī rām kaho yā śhyām
hai dil meṅ mere …

āge mere sapnoṅ kā melā pīchhe mere bahār
hare bhare peṛoṅ ke nīche har mausam malhār
ai bhaiyā
mere hī sapnoṅ kī pūjā merī hī sapnoṅ kī pūjā
mere subah-o-śhām
hai dil meṅ mere …

dūr bhale ho maṅzil merī pās hai lekin khvāb
āne vāle kal kī lagan meṅ har pal hai betāb
rastā chāheṅ jaisā ho chalnā merā kām
hai dil meṅ mere …

bas itnā sā khvāb hai