ऐ दिल प्यार की मंज़िल अब है मुक़ाबिल देख तो ले
ऐ दिल प्यार की मंज़िल अब है मुक़ाबिल देख तो ले
आँचल ढल गया सर से चाँद को अपने देख तो ले
ऐ दिल प्यार की मंज़िल …
आज के जैसी रात न होगी ये हलचल ये बात न होगी
देखने वाले देखते जा तू रोज़ तो ये बरसात न होगी
ऐ दिल प्यार की मंज़िल …
तब एक सपना देख रहा था अब एक सपना देख रहा हूँ
क्या है नज़ारा क्या बतलाऊँ देख लो क्या-क्या देख रहा हूँ
ऐ दिल प्यार की मंज़िल …
सामने मेरे वो जो वहाँ हैं जिनकी नज़र मेरे दोनों जहाँ हैं
काश कोई ये पूछ ले उनसे कल वो कहाँ थे आज कहाँ हैं
ऐ दिल प्यार की मंज़िल …
ai dil pyār kī maṅzil ab hai muqābil dekh to le
āṇchal ḍhal gayā sar se chāṇd ko apne dekh to le
ai dil pyār kī maṅzil …
āj ke jaisī rāt na hogī ye halchal ye bāt na hogī
dekhne vāle dekhte jā tū roz to ye barsāt na hogī
ai dil pyār kī maṅzil …
tab ek sapnā dekh rahā thā ab ek sapnā dekh rahā hūṇ
kyā hai nazārā kyā batlāūṇ dekh lo kyā-kyā dekh rahā hūṇ
ai dil pyār kī maṅzil …
sāmne mere vo jo vahāṇ haiṅ jinkī nazar mere donoṅ jahāṇ haiṅ
kāśh koī ye pūchh le unse kal vo kahāṇ the āj kahāṇ haiṅ
ai dil pyār kī maṅzil …