Ai dil mujhe aisee jagah le chal jahaan koee na ho

ऐ दिल मुझे ऐसी जगह ले चल जहाँ कोई न हो
Work
Year
Language

ऐ दिल मुझे ऐसी जगह ले चल जहाँ कोई न हो
अपना पराया मेहरबां ना-मेहरबां कोई न हो
ऐ दिल मुझे ऐसी जगह ले चल

जा कर कहीं खो जाऊँ मैं, नींद आए और सो जाऊँ मैं
नींद आए और सो जाऊँ मैं
दुनिया मुझे ढूँढे मगर मेरा निशां कोई न हो
ऐ दिल मुझे ऐसी जगह ले चल

उल्फ़त का बदला मिल गया, वो ग़म लुटा वो दिल गया
वो ग़म लुटा वो दिल गया
चलना है सब से दूर दूर अब कारवां कोई न हो
अपना पराया मेहरबां ना-मेहरबां कोई न हो
ऐ दिल मुझे ऐसी जगह ले चल जहाँ कोई न हो

ai dil mujhe aisī jagah le chal jahāṇ koī na ho
apnā parāyā meharbāṅ nā-meharbāṅ koī na ho
ai dil mujhe aisī jagah le chal

jā kar kahīṅ kho jāūṇ maiṅ, nīṅd āe aur so jāūṇ maiṅ
nīṅd āe aur so jāūṇ maiṅ
duniyā mujhe ḍhūṇḍhe magar merā niśhāṅ koī na ho
ai dil mujhe aisī jagah le chal

ulfat kā badlā mil gayā, vo ġham luṭā vo dil gayā
vo ġham luṭā vo dil gayā
chalnā hai sab se dūr dūr ab kārvāṅ koī na ho
apnā parāyā meharbāṅ nā-meharbāṅ koī na ho
ai dil mujhe aisī jagah le chal jahāṇ koī na ho