Ai dil dil kee duniyaa men aisaa haal bhee

ऐ दिल दिल की दुनिया में ऐसा हाल भी
Work
Year
Language

ऐ दिल दिल की दुनिया में ऐसा हाल भी होता है
बाहर कोई हँसता है अंदर कोई रोता है
ऐ दिल कोई पहचाना नहीं किसी ने ये माना नहीं
किसी ने ये जाना नहीं किसी को बताना नहीं
दर्द छुपा है कहां
ऐ दिल दिल की दुनिया …

तूने मुझसे वफ़ा नहीं की तुझको कैसे वफ़ा मिलेगी
तूने मुझको दर्द दिया है तुझको कैसे दवा मिलेगी
सीने में उठते हैं अरमान ऐसे
दरिया में आते हैं तूफ़ान जैसे
कभी कभी खुद ही माझी कश्ती को डुबोता है
ऐ दिल दिल की दुनिया …

काँटे चुनकर तेरा दामन फूलों से मैं भर जाऊँगा
इससे बड़ी सज़ा क्‌या होगी माफ़ तुझे मैं कर जाऊँगा
ऐ आ होगी किसी को पहचान कैसे
प्यार में होते हैं क़ुर्बान कैसे
हमको ये मालूम न था प्यार भी इक समझौता है
ऐ दिल दिल की दुनिया …

ai dil dil kī duniyā meṅ aisā hāl bhī hotā hai
bāhar koī hṇstā hai aṅdar koī rotā hai
ai dil koī pahchānā nahīṅ kisī ne ye mānā nahīṅ
kisī ne ye jānā nahīṅ kisī ko batānā nahīṅ
dard chhupā hai kahāṅ
ai dil dil kī duniyā …

tūne mujhse vafā nahīṅ kī tujhko kaise vafā milegī
tūne mujhko dard diyā hai tujhko kaise davā milegī
sīne meṅ uṭhte haiṅ armān aise
dariyā meṅ āte haiṅ tūfān jaise
kabhī kabhī khud hī mājhī kaśhtī ko ḍubotā hai
ai dil dil kī duniyā …

kāṇṭe chunkar terā dāman phūloṅ se maiṅ bhar jāūṇgā
isse baṛī sazā k‌yā hogī māf tujhe maiṅ kar jāūṇgā
ai ā hogī kisī ko pahchān kaise
pyār meṅ hote haiṅ qurbān kaise
hamko ye mālūm na thā pyār bhī ik samjhautā hai
ai dil dil kī duniyā …