Ai dil ab kaheen na jaa

ऐ दिल अब कहीं न जा
Year
Language

ऐ दिल अब कहीं न जा
न किसी का मैं, न कोई मेरा

जब चले हम, राह उलझी प्यार दुनिया ने किया
राह सीधी जब मिली तो सब ने ठुकरा दिया
ऐ दिल …

न किसी को चाह मेरी न किसी को इंतज़ार
किस लिये फिर मुड़ के पीछे देखना बार-बार
ऐ दिल …

ai dil ab kahīṅ na jā
na kisī kā maiṅ, na koī merā

jab chale ham, rāh uljhī pyār duniyā ne kiyā
rāh sīdhī jab milī to sab ne ṭhukrā diyā
ai dil …

na kisī ko chāh merī na kisī ko iṅtazār
kis liye phir muṛ ke pīchhe dekhnā bār-bār
ai dil …