Ai baaboo ye public hai ... sab jaantee hai

ऐ बाबू ये पुब्लिc है ... सब जानती है
Work
Year
Language

ऐ बाबू ये public है public
ये जो public है सब जानती है
ये जो public है
अजी अन्दर क्‌या है बाहर क्‌या है
ये सब कुछ पहचानती है
ये जो public …

ये चाहे तो सर पे बिठा ले चाहे फेंक दे नीचे
पहले ये पीछे भागे फिर भागो इसके पीछे
अरे दिल टूटे तो अरे ये रूठे तो
तौबा कहाँ फिर मानती है
ये जो public …

क्‌या नेता क्‌या अभिनेता दे जनता को जो धोखा
पल में शोहरत उड़ जाए ज्यों एक पवन का झोंका
अरे ज़ोर न करना अरे शोर न करना
ज़ोर न करना शोर न करना
अपने शहर में शांति है
ये जो public …

हीरे-मोती तुमने छुपाए कुछ हम लोग न बोले
अब आटा-चावल भी छुपा तो भूखों ने मुँह खोले
अरे भीख न माँगे कर्ज़ न माँगे
ये अपना हक़ माँगती है
ये जो public …

ai bābū ye public hai public
ye jo public hai sab jāntī hai
ye jo public hai
ajī andar k‌yā hai bāhar k‌yā hai
ye sab kuchh pahchāntī hai
ye jo public …

ye chāhe to sar pe biṭhā le chāhe pheṅk de nīche
pahle ye pīchhe bhāge phir bhāgo iske pīchhe
are dil ṭūṭe to are ye rūṭhe to
taubā kahāṇ phir māntī hai
ye jo public …

k‌yā netā k‌yā abhinetā de jantā ko jo dhokhā
pal meṅ śhohrat uṛ jāe jyoṅ ek pavan kā jhoṅkā
are zor na karnā are śhor na karnā
zor na karnā śhor na karnā
apne śhahar meṅ śhāṅti hai
ye jo public …

hīre-motī tumne chhupāe kuchh ham log na bole
ab āṭā-chāval bhī chhupā to bhūkhoṅ ne muṇh khole
are bhīkh na māṇge karz na māṇge
ye apnā haq māṇgtī hai
ye jo public …