Agar sun le to ik nagmaa huzoor-e-yaar laayaa hoon

अगर सुन ले तो इक नगमा हुज़ूर-ए-यार लाया हूँ
Work
Year
Language

अगर सुन ले तो इक नगमा हुज़ूर-ए-यार लाया हूँ
वो कली चटकी कि दिल टूटा पर इक झंकार लाया हूँ
अगर सुन ले तू एक नग़मा …

मुझे मालूम है इतना कि मैं क्‌या मेरी क़ीमत क्‌या
जो सब कुछ था जो कुछ भी नहीं ऐसा प्यार लाया हूँ
अगर सुन ले तू इक नग़मा …

अचानक आ गिरी बिजली तो फिर सूरत यही निकली
उजड़ गया दिल तो अब ज़ख़्मों का गुलज़ार लाया हूँ
अगर सुन ले तू इक नग़मा …

अजब हूँ मैं भी दीवाना अजब है मेरा नज़राना
के उनके लिए अपनी वफ़ा का टूटा हार लाया हूँ
अगर सुन ले तू इक नग़मा …

agar sun le to ik nagmā huzūr-e-yār lāyā hūṇ
vo kalī chaṭkī ki dil ṭūṭā par ik jhaṅkār lāyā hūṇ
agar sun le tū ek naġhmā …

mujhe mālūm hai itnā ki maiṅ k‌yā merī qīmat k‌yā
jo sab kuchh thā jo kuchh bhī nahīṅ aisā pyār lāyā hūṇ
agar sun le tū ik naġhmā …

achānak ā girī bijlī to phir sūrat yahī niklī
ujaṛ gayā dil to ab zakhmoṅ kā gulazār lāyā hūṇ
agar sun le tū ik naġhmā …

ajab hūṇ maiṅ bhī dīvānā ajab hai merā nazrānā
ke unke lie apnī vafā kā ṭūṭā hār lāyā hūṇ
agar sun le tū ik naġhmā …