Agar mujh se muhabbat hai

अगर मुझ से मुहब्बत है
Year
Language

अगर मुझ से मुहब्बत है मुझे सब अपने ग़म दे दो
इन आँखों का हर इक आँसू मुझे मेरी क़सम दे दो
अगर मुझ से …

तुम्हारे ग़म को अपना ग़म बना लूँ तो क़रार आए
तुम्हारा दर्द सीने में छुपा लूँ तो क़रार आए
वो हर शय जो तुम्हें दुख दे मुझे मेरे सनम दे दो
अगर मुझ से …

शरीक-ए-ज़िंदगी को क्‌यूँ शरीक-ए-ग़म नहीं करते
दुखों को बाँट कर क्‌यूँ इन दुखों को कम नहीं करते
तड़प इस दिल की थोड़ी सी मुझेमेरे सनम दे दो
अगर मुझ से …

agar mujh se muhabbat hai mujhe sab apne ġham de do
in āṇkhoṅ kā har ik āṇsū mujhe merī qasam de do
agar mujh se …

tumhāre ġham ko apnā ġham banā lūṇ to qarār āe
tumhārā dard sīne meṅ chhupā lūṇ to qarār āe
vo har śhay jo tumheṅ dukh de mujhe mere sanam de do
agar mujh se …

śharīk-e-ziṅdgī ko k‌yūṇ śharīk-e-ġham nahīṅ karte
dukhoṅ ko bāṇṭ kar k‌yūṇ in dukhoṅ ko kam nahīṅ karte
taṛap is dil kī thoṛī sī mujhemere sanam de do
agar mujh se …