अगर दिल किसी से लगाया न होता
अगर दिल किसी से लगाया न होता
ज़माने ने हमको मिटाया न होता
अगर दिल किसी से …
गिराना ही था तूने ( आँसू समझ के ) -2
तो नज़रों में हमको बसाया न होता
अगर दिल किसी से …
मुक़द्दर में गर यही ( रुसवाइयाँ थीं) -2
तो महफ़िल में तेरी मैं आया न होता
अगर दिल किसी से …
अगर तेरे दामन की ( हसरत न होती ) -2
तो यूँ ज़िन्दगी को मिटाया न होता
अगर दिल किसी से …
agar dil kisī se lagāyā na hotā
zamāne ne hamko miṭāyā na hotā
agar dil kisī se …
girānā hī thā tūne ( āṇsū samajh ke ) -2
to nazroṅ meṅ hamko basāyā na hotā
agar dil kisī se …
muqaddar meṅ gar yahī ( rusvāiyāṇ thīṅ) -2
to mahafil meṅ terī maiṅ āyā na hotā
agar dil kisī se …
agar tere dāman kī ( hasrat na hotī ) -2
to yūṇ zindgī ko miṭāyā na hotā
agar dil kisī se …