Achchhee naheen sanam dillgee dil-e-beqraar se

अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से
Year
Language

कि: अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से
आ: क्‌यों रो रहे हो छेड़ा था हमने तुमको तो प्यार से
कि: खेल ही खेल में जाएगी एक जान
आ: क्‌यों रो रहे हो छेड़ा था हमने तुमको तो प्यार से
कि: अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से
आ: प्यार के खेल में कैसा दिल क्‌या जान
कि: अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से

कि: कहते हो तुम तो यूँ ही सही कि ऐ मेरे हसीन
आ: आ हाहाहा…
कि: सारी ख़ता जवानी की है, क़ुसूर आपका नहीं
कर जाते हो शरारत जब मिलते हो प्यार से
आ: क्‌यों रो रहे हो छेड़ा था हमने तुमको तो प्यार से
कि: अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से

आ: छेड़ूँ अगर तो शिकवा करो, न छेड़ूँ तो ग़िला
लगता है यूँ कि तुम आज से दीवाने हुए पीया
होने लगे ज़रा में जो बे-इख़्तियार से
कि: अच्छी नहीं सनम दिल्लगी दिल-ए-बेक़रार से
आ: क्‌यों रो रहे हो छेड़ा था हमने तुमको तो प्यार से

ki: achchhī nahīṅ sanam dillgī dil-e-beqrār se
ā: k‌yoṅ ro rahe ho chheṛā thā hamne tumko to pyār se
ki: khel hī khel meṅ jāegī ek jān
ā: k‌yoṅ ro rahe ho chheṛā thā hamne tumko to pyār se
ki: achchhī nahīṅ sanam dillgī dil-e-beqrār se
ā: pyār ke khel meṅ kaisā dil k‌yā jān
ki: achchhī nahīṅ sanam dillgī dil-e-beqrār se

ki: kahte ho tum to yūṇ hī sahī ki ai mere hasīn
ā: ā hāhāhā…
ki: sārī khatā javānī kī hai, qusūr āpkā nahīṅ
kar jāte ho śharārat jab milte ho pyār se
ā: k‌yoṅ ro rahe ho chheṛā thā hamne tumko to pyār se
ki: achchhī nahīṅ sanam dillgī dil-e-beqrār se

ā: chheṛūṇ agar to śhikvā karo, na chheṛūṇ to ġhilā
lagtā hai yūṇ ki tum āj se dīvāne hue pīyā
hone lage zarā meṅ jo be-ikhtiyār se