Achchhaa hee huaa dil toot gayaa

अच्छा ही हुआ दिल टूट गया
Year
Language

अच्छा ही हुआ दिल टूट गया
अच्छा ही हुआ जो तूने किया
लूँगा न कभी अब नाम-ए-वफ़ा
अच्छा ही हुआ …

था जिनका रूप निग़ाहों में
वो है गैरों की बाँहों में
किस बात का बदला मुझसे लिया
अच्छा ही हुआ …

नक़ली थे फूल मोहब्बत के
झूठे थे वादे उल्फ़त के
हर बन्धन से मैं छूट गया
अच्छा ही हुआ …

दिल में तो सोचा क्‌या-क्‌या था
तेरा प्यार तो रेत का दरिया था
ना तैर सका ना डूब सका
अच्छा ही हुआ …

achchhā hī huā dil ṭūṭ gayā
achchhā hī huā jo tūne kiyā
lūṇgā na kabhī ab nām-e-vafā
achchhā hī huā …

thā jinkā rūp niġhāhoṅ meṅ
vo hai gairoṅ kī bāṇhoṅ meṅ
kis bāt kā badlā mujhse liyā
achchhā hī huā …

naqlī the phūl mohabbat ke
jhūṭhe the vāde ulfat ke
har bandhan se maiṅ chhūṭ gayā
achchhā hī huā …

dil meṅ to sochā k‌yā-k‌yā thā
terā pyār to ret kā dariyā thā
nā tair sakā nā ḍūb sakā
achchhā hī huā …