Two Female Singers:
बुरा न मानो सनम, अपना दिल हमें दे दो - 2
Female Singer 1:
हमारी बात रखो
Female Singer 2 :
हमें भी साथ रखो
Both Female Singers :
तुम्हें हमारी क़सम
तुम्हें हमारी क़सम अपना दिल हमें दे दो
बुरा न मानो सनम अपना दिल हमें दे दो
Rafi :
अभी कमसिन हो, नादाँ हो जाने जाना - 2
क्या करोगी मेरा दिल, तोड़ दोगी मेरा दिल
पहले सीखो दिल लगाना
अभी कमसिन हो, नादाँ हो जाने जाना
बहुत हसीन हो ठहरो, शबाब आने दो
शरीर आँखों में शर्म-ओ-हिजाब आने दो
तुम्हारे सामने फिर बेशुमार दिल होंगे
दिल होंगे
जहाँ भी जाओगी सजदे हज़ार दिल होंगे
आने वाला है, हाँ, आने वाला है अब
ऐसा क़ातिल ज़माना
अभी कमसिन हो …
गुनाह ठहरेगा सबसे नज़र मिलाना भी
बनेगा जुर्म किसी दिन, ये मुस्कुराना भी
कभी जो दिल की कसक दर्द बनके उभरेगी
उभरेगी
तड़प तड़प के शब-ए-इन्तज़ार गुज़रेगी
कोई पूछेगा, हाँ, कोई पूछेगा जब
क्या करोगी बहाना
अभी कमसिन हो …
Two Female Singers:
burā na māno sanam, apnā dil hameṅ de do - 2
Female Singer 1:
hamārī bāt rakho
Female Singer 2 :
hameṅ bhī sāth rakho
Both Female Singers :
tumheṅ hamārī qasam
tumheṅ hamārī qasam apnā dil hameṅ de do
burā na māno sanam apnā dil hameṅ de do
Rafi :
abhī kamsin ho, nādāṇ ho jāne jānā - 2
kyā karogī merā dil, toṛ dogī merā dil
pahle sīkho dil lagānā
abhī kamsin ho, nādāṇ ho jāne jānā
bahut hasīn ho ṭhahro, śhabāb āne do
śharīr āṇkhoṅ meṅ śharm-o-hijāb āne do
tumhāre sāmne phir beśhumār dil hoṅge
dil hoṅge
jahāṇ bhī jāogī sajde hazār dil hoṅge
āne vālā hai, hāṇ, āne vālā hai ab
aisā qātil zamānā
abhī kamsin ho …
gunāh ṭhahregā sabse nazar milānā bhī
banegā jurm kisī din, ye muskurānā bhī
kabhī jo dil kī kasak dard banke ubhregī
ubhregī
taṛap taṛap ke śhab-e-intazār guzregī
koī pūchhegā, hāṇ, koī pūchhegā jab
kyā karogī bahānā
abhī kamsin ho …