Ab vo karam karen yaa sitam main nashe men hoon

अब वो करम करें या सितम मैं नशे में हूँ
Year
Language

अब वो करम करें या सितम मैं नशे में हूँ
मुझको न कोई होश न ग़म मैं नशे में हूँ

सीने से बोझ उनके ग़मों का उतार के
आया हूँ आज अपनी जवानी को हार के
कहते हैं डगमगाते क़दम मैं नशे में हूँ

वो बेवफ़ा हैं अब भी ये दिल मानता नहीं
कम्बख़्त नासमझ है उन्हें जानता नहीं
मैं आज तोड़ दूंगा भरम मैं नशे में हूँ

फ़ुरसत नहीं है रोने रुलाने के वास्ते
आए न उनकी याद सताने के वास्ते
इस वक़्त दिल का दर्द है कम मैं नशे में हूँ

ab vo karam kareṅ yā sitam maiṅ naśhe meṅ hūṇ
mujhko na koī hośh na ġham maiṅ naśhe meṅ hūṇ

sīne se bojh unke ġhamoṅ kā utār ke
āyā hūṇ āj apnī javānī ko hār ke
kahte haiṅ ḍagamgāte qadam maiṅ naśhe meṅ hūṇ

vo bevafā haiṅ ab bhī ye dil māntā nahīṅ
kambakht nāsmajh hai unheṅ jāntā nahīṅ
maiṅ āj toṛ dūṅgā bharam maiṅ naśhe meṅ hūṇ

furasat nahīṅ hai rone rulāne ke vāste
āe na unkī yād satāne ke vāste
is vaqt dil kā dard hai kam maiṅ naśhe meṅ hūṇ