Ab ke sajan saavan men

अब के सजन सावन में
Year
Language

अब के सजन सावन में -2
आग लगेली बदन में
घटा बरसेगी नज़र तरसेगी मगर
मिल न सकेंगे दो मन एक ही आँगन में

अब के सजन सावन में

दो दिलों के बीच खड़ी कितनी दीवारें
कैसे सुनूँगी मैं पिया प्रेम की पुकारें
चोरी चुपके से तुम लाख करो जतन, सजन
मिल न सकेंगे दो मन एक ही आँगन में

अब के सजन सावन में

इतने बड़े घर में नहीं एक भी झरोंका
किस तरह हम देंगे भला दुनिया को धोका
रात भर जगाएगी ये मस्त मस्त पवन, सजन
मिल न सकेंगे दो मन एक कि आँगन में
ईश्…

अब के सजन सावन में

तेरे मेरे प्यार का ये साल बुरा होगा
जब बहार आएगी तो हाल बुरा होगा
कांटे लगाएगा ये फूलों भरा चमन, सजन
मिल न सकेंगे दो मन एक ही आँगन में

अब के सजन सावन में
आग लगेली बदन में

ab ke sajan sāvan meṅ -2
āg lagelī badan meṅ
ghaṭā barsegī nazar tarsegī magar
mil na sakeṅge do man ek hī āṇgan meṅ

ab ke sajan sāvan meṅ

do diloṅ ke bīch khaṛī kitnī dīvāreṅ
kaise sunūṇgī maiṅ piyā prem kī pukāreṅ
chorī chupke se tum lākh karo jatan, sajan
mil na sakeṅge do man ek hī āṇgan meṅ

ab ke sajan sāvan meṅ

itne baṛe ghar meṅ nahīṅ ek bhī jharoṅkā
kis tarah ham deṅge bhalā duniyā ko dhokā
rāt bhar jagāegī ye mast mast pavan, sajan
mil na sakeṅge do man ek ki āṇgan meṅ
īśh…

ab ke sajan sāvan meṅ

tere mere pyār kā ye sāl burā hogā
jab bahār āegī to hāl burā hogā
kāṅṭe lagāegā ye phūloṅ bharā chaman, sajan
mil na sakeṅge do man ek hī āṇgan meṅ

ab ke sajan sāvan meṅ
āg lagelī badan meṅ