Ab do dilon kee mushkil aasaan ho gaee hai

अब दो दिलों की मुश्किल आसान हो गई है
Year
Language

र: अब दो दिलों की मुश्किल आसान हो गई है
दुनिया को मोहब्बत की पहचान हो गई है
ल: अब प्यार की हर मंज़िल आसान हो गई है
आपस में दो दिलों की पहचान हो गई है

र: इस रास्ते से गुज़रा इक दिन कोई बेचारा
ना जाने किस अदा से तुमने उसे पुकारा
ऐसा किया इशारा कुछ सोच के बेचारा
वो हो गया तुम्हारा
दुनिया भी देखकर ये हैरान हो गई है

ल: कब से तुम्हारी ख़ातिर हम राह में पड़े थे
इक रोज़ फिर ये देखा तुम सामने खड़े थे
ऐसी नज़र मिलाई दुनिया मुझे भुलाई
कुछ सोच भी न पाई
जैसे कि रूह मेरी बेजान हो गई है

र: मिलना था जिनको अब वो दीवाने मिल गए हैं
ल: तेरी दास्ताँ से मेरे अफ़साने मिल गए हैं
र: अब एक ही कहानी अब एक ही फ़साना
अब एक ही तराना
ल: दो जिस्म तो हैं लेकिन इक जान हो गई है

ra: ab do diloṅ kī muśhkil āsān ho gaī hai
duniyā ko mohabbat kī pahchān ho gaī hai
la: ab pyār kī har maṅzil āsān ho gaī hai
āpas meṅ do diloṅ kī pahchān ho gaī hai

ra: is rāste se guzrā ik din koī bechārā
nā jāne kis adā se tumne use pukārā
aisā kiyā iśhārā kuchh soch ke bechārā
vo ho gayā tumhārā
duniyā bhī dekhkar ye hairān ho gaī hai

la: kab se tumhārī khātir ham rāh meṅ paṛe the
ik roz phir ye dekhā tum sāmne khaṛe the
aisī nazar milāī duniyā mujhe bhulāī
kuchh soch bhī na pāī
jaise ki rūh merī bejān ho gaī hai

ra: milnā thā jinko ab vo dīvāne mil gae haiṅ
la: terī dāstāṇ se mere afsāne mil gae haiṅ
ra: ab ek hī kahānī ab ek hī fasānā
ab ek hī tarānā
la: do jism to haiṅ lekin ik jān ho gaī hai