Ab chhalakte hue saagar naheen dekhe jaate

अब छलकते हुए सागर नहीं देखे जाते
Work
Language

अब छलकते हुए सागर नहीं देखे जाते
तौबा के बाद ये मंज़र नहीं देखे जाते

मस्त कर के मुझे, औरों को लगा मूँ साक़ी
ये करम होश में रह कर नहीं देखे जाते

साथ हर एक को इस राह में चलना होगा
इश्क़ में रहज़ान-ओ-रहबार नहीं देखे जाते

हम ने देखा है ज़माने का बदलना लेकिन
उन के बदले हुए तेवर नहीं देखे जाते

ab chhalakte hue sāgar nahīṅ dekhe jāte
taubā ke bād ye maṅzar nahīṅ dekhe jāte

mast kar ke mujhe, auroṅ ko lagā mūṇ sāqī
ye karam hośh meṅ rah kar nahīṅ dekhe jāte

sāth har ek ko is rāh meṅ chalnā hogā
iśhq meṅ rahazān-o-rahbār nahīṅ dekhe jāte

ham ne dekhā hai zamāne kā badalnā lekin
un ke badle hue tevar nahīṅ dekhe jāte