Aaye tum yaad mujhe, gaane lagee har dharkan

आये तुम याद मुझे, गाने लगी हर धड़कन्
Work
Year
Language

आए तुम याद मुझे, गाने लगी हर धड़कन
ख़ुशबू लाई पवन, महका चंदन
आए तुम याद मुझे …

जिस पल नैनों में सपना तेरा आए
उस पल मौसम पे मेंहंदी रच जाए (2)
और तू बन जाये जैसे दुल्हन
आए तुम याद मुझे …

जब मैं रातों में तारे गिनता हूँ
और तेरे कदमों की आहट सुनता हूँ (2)
लगे मुझे हर तारा तेरा दरपन
आए तुम याद मुझे …

हर पल मन मेरा मुझसे कहता है
जिसकी धुन में तू खोया रहता है (2)
भर दे फूलों से उसका दामन
आए तुम याद मुझे …

āe tum yād mujhe, gāne lagī har dhaṛkan
khuśhbū lāī pavan, mahkā chaṅdan
āe tum yād mujhe …

jis pal nainoṅ meṅ sapnā terā āe
us pal mausam pe meṅhaṅdī rach jāe (2)
aur tū ban jāye jaise dulhan
āe tum yād mujhe …

jab maiṅ rātoṅ meṅ tāre gintā hūṇ
aur tere kadmoṅ kī āhaṭ suntā hūṇ (2)
lage mujhe har tārā terā darpan
āe tum yād mujhe …

har pal man merā mujhse kahtā hai
jiskī dhun meṅ tū khoyā rahtā hai (2)
bhar de phūloṅ se uskā dāman
āe tum yād mujhe …