Aayaa hai mujhe phir yaad vo zaaleem guzraa zamaanaa bachapan kaa

आया है मुझे फिर याद वो ज़ालीम गुज़रा ज़माना बचपन का
Work
Year
Language

आया है मुझे फिर याद वो ज़ालिम
गुज़रा ज़माना बचपन का
हाय रे अकेले छोड़ के जाना
और ना आना बचपन का
आया है मुझे फिर याद वो ज़ालिम

वो खेल वो साथी वो झूले
वो दौड़ के कहना आ छू ले
हम आज तलक भी ना भूले - 2
वो ख्वाब सुहाना बचपन का
आया है मुझे फिर याद वो ज़ालिम

इसकी सबको पहचान नहीं
ये दो दिन का मेहमान नहीं
मुश्किल है बहुत, आसान नहीं - 2
ये प्यार भुलाना बचपन का
आया है मुझे फिर याद वो ज़ालिम

मिल कर रोये फ़रियाद करें
उन बीते दिनों की याद करें
ऐ काश कहीं मिल जाये कोई - 2
वो मीत पुराना बचपन का
आया है मुझे फिर याद वो ज़ालिम्

āyā hai mujhe phir yād vo zālim
guzrā zamānā bachapan kā
hāy re akele chhoṛ ke jānā
aur nā ānā bachapan kā
āyā hai mujhe phir yād vo zālim

vo khel vo sāthī vo jhūle
vo dauṛ ke kahnā ā chhū le
ham āj talak bhī nā bhūle - 2
vo khvāb suhānā bachapan kā
āyā hai mujhe phir yād vo zālim

iskī sabko pahchān nahīṅ
ye do din kā mehmān nahīṅ
muśhkil hai bahut, āsān nahīṅ - 2
ye pyār bhulānā bachapan kā
āyā hai mujhe phir yād vo zālim

mil kar roye fariyād kareṅ
un bīte dinoṅ kī yād kareṅ
ai kāśh kahīṅ mil jāye koī - 2
vo mīt purānā bachapan kā
āyā hai mujhe phir yād vo zālim