Aavaaz do ham ko, ham kho gaye

आवाज़ दो हम को, हम खो गये
Work
Year
Language

आवाज़ दो हमको, हम खो गए
कब नींद से जागे, कब सो गए
मर जायेंगे हम अगर दूर तुम से हो गए

तुम से निगाहें चार करने लगे
हम जिंदगी से प्यार करने लगे
डरते ना थे मौत से अब मगर डरने लगे

सावन की इस पहली बरसात में
सब देख ले सपनें एक रात में
कट जाए ना जिंदगी, एक ही मुलाकात में

मेरे सामने रहना जाना नहीं
तुमसे है कुछ कहना जाना नहीं
मौसम कभी प्यार का लौटकर आना नहीं

āvāz do hamko, ham kho gae
kab nīṅd se jāge, kab so gae
mar jāyeṅge ham agar dūr tum se ho gae

tum se nigāheṅ chār karne lage
ham jiṅdgī se pyār karne lage
ḍarte nā the maut se ab magar ḍarne lage

sāvan kī is pahlī barsāt meṅ
sab dekh le sapneṅ ek rāt meṅ
kaṭ jāe nā jiṅdgī, ek hī mulākāt meṅ

mere sāmne rahnā jānā nahīṅ
tumse hai kuchh kahnā jānā nahīṅ
mausam kabhī pyār kā lauṭkar ānā nahīṅ