Aate jaate khoobsoorat aavaaraa sarkon pe

आते जाते खूबसूरत आवारा सड़कों पे
Work
Year
Language

आते जाते खूबसूरत आवारा सड़कों पे
कभी कभी इत्तेफ़ाक़ से
कितने अंजान लोग मिल जाते हैं
उन में से कुछ लोग भूल जाते हैं
कुछ याद रह जाते हैं

आवाज़ की दुनिया के दोस्तों
कल रात इसी जगह पे मुझको
किस क़दर ये हसीं ख़याल मिला है
राह में इक रेशमी रुमाल मिला है
जो गिराया था किसी ने जान कर
जिस का हो ले वो जाये पहचान कर
वरना मैं रख लूँगा उस को अपना जान कर
किसी हुस्न-वाले की निशानी मान कर, निशानी मान कर
हँसते गाते लोगों की बातें ही बातें में
कभी कभी इक मज़ाक से कितने जवान किस्से बन जाते हैं
उन किस्सों में चन्द भूल जाते हैं
चन्द याद रह जाते हैं
उन में से कुछ लोग …

तक़दीर मुझ पे महरबान है
जिस शोख की ये दास्तान है
उस ने भी शायद ये पैग़ाम सुना हो
मेरे गीतों में अपना नाम सुना हो
दूर बैठी ये राज़ वो जान ले
मेरी आवाज़ को पहचान ले
काश फिर कल रात जैसी बरसात हो
और मेरी उस की कहीं मुलाक़ात हो
लम्बी लम्बी रातों में नींद नहीं जब आती
कभी कभी इस फ़िराक़ से कितने हसीं ख़्वाब बन जाते हैं
उन में से कुछ ख़्वाब भूल जाते हैं
कुछ याद रह जाते हैं
उन में से कुछ लोग …

āte jāte khūbsūrat āvārā saṛkoṅ pe
kabhī kabhī ittefāq se
kitne aṅjān log mil jāte haiṅ
un meṅ se kuchh log bhūl jāte haiṅ
kuchh yād rah jāte haiṅ

āvāz kī duniyā ke dostoṅ
kal rāt isī jagah pe mujhko
kis qadar ye hasīṅ khayāl milā hai
rāh meṅ ik reśhmī rumāl milā hai
jo girāyā thā kisī ne jān kar
jis kā ho le vo jāye pahchān kar
varnā maiṅ rakh lūṇgā us ko apnā jān kar
kisī husn-vāle kī niśhānī mān kar, niśhānī mān kar
hṇste gāte logoṅ kī bāteṅ hī bāteṅ meṅ
kabhī kabhī ik mazāk se kitne javān kisse ban jāte haiṅ
un kissoṅ meṅ chand bhūl jāte haiṅ
chand yād rah jāte haiṅ
un meṅ se kuchh log …

taqdīr mujh pe maharbān hai
jis śhokh kī ye dāstān hai
us ne bhī śhāyad ye paiġhām sunā ho
mere gītoṅ meṅ apnā nām sunā ho
dūr baiṭhī ye rāz vo jān le
merī āvāz ko pahchān le
kāśh phir kal rāt jaisī barsāt ho
aur merī us kī kahīṅ mulāqāt ho
lambī lambī rātoṅ meṅ nīṅd nahīṅ jab ātī
kabhī kabhī is firāq se kitne hasīṅ khvāb ban jāte haiṅ
un meṅ se kuchh khvāb bhūl jāte haiṅ
kuchh yād rah jāte haiṅ
un meṅ se kuchh log …