sāṇsoṅ kī zarūrat hai jaise, jiṅdgī ke lie
bas ek sanam chāhie, āśhikī ke lie
śhamā kī zarūrat haiṅ jaise, rośhnī ke lie
hā ek sanam chāhie, āśhikī ke lie
bas ek sanam chāhie, āśhikī ke lie
bāgbāṇ ke dil meṅ har kalī khiltī hai
har lahar sāhīl se ek din miltī hai
jahāṇ chain hai, vahī bebsī
jahāṇ aśhk hai, vahī hai hṇsī
gam ke kāṇṭoṅ se chune, usīko miltī khuśhī
hoṅṭhoṅ kī zarūrat hai jaise bāsūrī ke lie
bas ek sanam chāhie, āśhikī ke lie
har hasīṅ dhaṛkan meṅ pyār kī bāteṅ hai
har javāṅ mahafil meṅ yār kī bāteṅ hai
jahāṇ nazam hai, vahī hai ġhazal
jahāṇ dhūṅp hai, vahī hai kaṅval
sīne se lipṭe rahe, kisīke yādoṅ ke pal
dost kī zarūrat hai jaise, dostī ke lie
bas ek sanam chāhie, āśhikī ke lie