Aashiq mujhe aashiq toone banaayaa ... sajnaa yahee pyaar hai

आशिक़ मुझे आशिक़ तूने बनाया ... सजना यही प्यार है
Work
Year
Language

आ आ
आशिक़ मुझे आशिक़ तूने बनाया वल्लाह वल्लाह
दिल है तेरा मेरे सीने में
दिल है मेरा तेरे सीने में
ये क्‌या गज़ब यार है
सजना यही प्यार है

तूने ऐसा दर्द दिया है मुश्किल है बतलाना
तूने कैसा हाल किया है तूने भी ना जाना
जानां नहीं जाना नज़रें चुरा के वल्लाह वल्लाह
ओ ज़ुल्फ़ों की रंगीं छाँव में
महबूब की गोरी बाहों में
दिलबर गिरफ़्तार है
सजना यही प्यार है ओ

ज़हर जुदाई वाला मुझको जान-ए-मन नहीं पीना
बिन तेरे ना मरना अब तो बिन तेरे ना जीना
जीना नहीं जीना तन्हा अकेले वल्लाह वल्लाह
महकी मुहब्बत की राहों में राहों में
दिलकश पनाहों में
दुनिया की दीवार है
सजना यही प्यार है
आशिक़ मुझे आशिक़ …

ā ā
āśhiq mujhe āśhiq tūne banāyā vallāh vallāh
dil hai terā mere sīne meṅ
dil hai merā tere sīne meṅ
ye k‌yā gazab yār hai
sajnā yahī pyār hai

tūne aisā dard diyā hai muśhkil hai batlānā
tūne kaisā hāl kiyā hai tūne bhī nā jānā
jānāṅ nahīṅ jānā nazreṅ churā ke vallāh vallāh
o zulfoṅ kī raṅgīṅ chhāṇv meṅ
mahbūb kī gorī bāhoṅ meṅ
dilbar giraftār hai
sajnā yahī pyār hai o

zahar judāī vālā mujhko jān-e-man nahīṅ pīnā
bin tere nā marnā ab to bin tere nā jīnā
jīnā nahīṅ jīnā tanhā akele vallāh vallāh
mahkī muhabbat kī rāhoṅ meṅ rāhoṅ meṅ
dilkaśh panāhoṅ meṅ
duniyā kī dīvār hai
sajnā yahī pyār hai
āśhiq mujhe āśhiq …