Aashiq hai paagal hai ... kaise main bataaoon use

आशिक़ है पागल है ... कैसे मैं बताऊँ उसे
Year
Language

आशिक़ है पागल है कहने से डरता है
आता नहीं प्यार जताना प्यार ये कैसे करता है
अरे मुझको संभालो यारों
मुझको बचालो यारों
मैं तो गया काम से
कैसे मैं बताऊँ उसे
क्‌या समझाऊँ उसे
मैं तो गया काम से
दीवाना मुझे कहता है सारा ज़माना

आशिक़ हूँ पागल हूँ कहने से डरता हूँ
ये सच है फिर भी मैं प्यार किसी से करता हूँ

रहती है आँखों में
लेकिन मेरी बाहों में आती नहीं
आती है सपनों में
पर वो दिल की राहों में आती नहीं
अरे बड़ी मजबूरी है
मिलना ज़रूरी है
डरता हूं अंजाम से
कैसे मैं बताऊँ …

ऐ पोरगी इकड़े ये कुठे चालली ये
नखरा तू शू करे छे
बागीचा मा चाल मरीशे
ओ दिल मेरा बोले साथ मेरे हो ले
जाती है बच के कहाँ हे
इक दिन ये होना है
अपना जादू उस पर भी चल जाएगा
हे दिल मेरा कहता है
दिल उसका भी इक दिन पिघल जाएगा
अरे मेरे ख्यालों में
मेरे ही ख्वाबों में
रहती है आराम से
कैसे मैं बताऊँ …

āśhiq hai pāgal hai kahne se ḍartā hai
ātā nahīṅ pyār jatānā pyār ye kaise kartā hai
are mujhko saṅbhālo yāroṅ
mujhko bachālo yāroṅ
maiṅ to gayā kām se
kaise maiṅ batāūṇ use
k‌yā samjhāūṇ use
maiṅ to gayā kām se
dīvānā mujhe kahtā hai sārā zamānā

āśhiq hūṇ pāgal hūṇ kahne se ḍartā hūṇ
ye sach hai phir bhī maiṅ pyār kisī se kartā hūṇ

rahtī hai āṇkhoṅ meṅ
lekin merī bāhoṅ meṅ ātī nahīṅ
ātī hai sapnoṅ meṅ
par vo dil kī rāhoṅ meṅ ātī nahīṅ
are baṛī majbūrī hai
milnā zarūrī hai
ḍartā hūṅ aṅjām se
kaise maiṅ batāūṇ …

ai porgī ikaṛe ye kuṭhe chāllī ye
nakhrā tū śhū kare chhe
bāgīchā mā chāl marīśhe
o dil merā bole sāth mere ho le
jātī hai bach ke kahāṇ he
ik din ye honā hai
apnā jādū us par bhī chal jāegā
he dil merā kahtā hai
dil uskā bhī ik din pighal jāegā
are mere khyāloṅ meṅ
mere hī khvāboṅ meṅ
rahtī hai ārām se
kaise maiṅ batāūṇ …