zamīṅ kāġhaz kī ban jāye, samundar rośhnāī kā
bayāṇ phir bhī na hogā hamse yah kissā judāī kā
chār dinoṅ kī chhuṭṭi hai aur unse jā kar milnā hai
jis māṇg ne dil ko māṇg liyā us māṇg meṅ tāre bharan hai
ko: ab chār dinoṅ kī chhuṭṭi hai aur unse jā kar milnā hai

dil apnā abhī se dhaṛke hai dekheṅge unheṅ to kyā hogā
ham hośh bhī apne kho deṅge mastī se bharā jalvā hogā
vah sāmne ho phir āye mazā, kuchh kahnā hai, kuchh sunnā hai
ko: ab chār dinoṅ kī chhuṭṭi hai aur unse jā kar milnā hai
jis māṇg ne dil ko māṇg liyā us māṇg meṅ tāre bharan hai
vo bhī to hamārī rāhoṅ meṅ zulfoṅ ko sṇvāre āyeṅge
aur phūl chamelī ke gajre khuśh ho ke hameṅ pahnāyeṅge
ab chāṇd kī tarah chamaknā hai, sūraj kī tarah se nikalnā hai
ko: ab chār dinoṅ kī chhuṭṭi hai aur unse jā kar milnā hai
jis māṇg ne dil ko māṇg liyā us māṇg meṅ tāre bharan hai
āṇkhoṅ meṅ javāṇ śhiqve hoṅge, hoṅṭhoṅ pe hṇsī lahrāyegī
sāġhar se milegī jab nadiyā tūfān pe raunak āyegī
ab bādal banke barasnā hai, maujoṅ kī tarah se ubharnā hai
ko: ab chār dinoṅ kī chhuṭṭi hai aur unse jā kar milnā hai
jis māṇg ne dil ko māṇg liyā us māṇg meṅ tāre bharan hai
vah hamse kaheṅge śharmāke, pardes gaye the kyā lāye
ham unse kaheṅge jān-e-jahāṅ dil apnā bachā ke le āye
ab āṅkh milāo bāt karo, ham sāmne haiṅ kyā pad.rā hai