Title (Indic)सभी सुख दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं WorkAarambh Year1976 LanguageHindi Credits Role Artist Music Anand Shankar Performer Mukesh Writer Harish Bhadani LyricsHindiसभी सुख दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं मगर पीड़ा उमर भर साथ चलने को उतारू है सभी दुख दूर से गुज़रे … हमारा धूप में घर छाँव की क्या बात जानें हम अभी तक तो अकेले ही चले क्या साथ जानें हम बता दें क्या घुटन की घाटियाँ कैसी लगीं हमको सदा नंगा रहा आकाश क्या बरसात जानें हम बहारें दूर से गुज़रें गुज़रती ही चली जाएं मगर पतझड़ उमर भर साथ चलने को उतारू है सभी दुख दूर से गुज़रे … अटारी को धरा से किस तरह आवाज़ दे दें हम मेंहदिया पाँव को क्यों दूर का अन्दाज़ दे दें हम चले शमशान की देहरी वही है साथ की संज्ञा बरफ़ के एक बुत को आस्था की आँच क्यों दें हम हमें अपने सभी बिसरें बिसरते ही चले जाएं मगर सुधियाँ उमर भर साथ चलने को उतारू है सभी दुख दूर से गुज़रे … सुखों की आँख से तो बांचना आता नहीं हमको सुखों की साख से तो आँकना आता नहीं हमको चलें चलते रहें उमर भर हम पीर की राहें सुखों की लाज से ढांपना आता नहीं हमको निहोरे दूर से गुज़रें गुज़रते ही चले जाएं मगर अनबन उमर भर साथ चलने को उतारू है सभी दुख दूर से गुज़रे … Englishsabhī sukh dūr se guzreṅ guzarte hī chale jāeṅ magar pīṛā umar bhar sāth chalne ko utārū hai sabhī dukh dūr se guzre … hamārā dhūp meṅ ghar chhāṇv kī kyā bāt jāneṅ ham abhī tak to akele hī chale kyā sāth jāneṅ ham batā deṅ kyā ghuṭan kī ghāṭiyāṇ kaisī lagīṅ hamko sadā naṅgā rahā ākāśh kyā barsāt jāneṅ ham bahāreṅ dūr se guzreṅ guzartī hī chalī jāeṅ magar patjhaṛ umar bhar sāth chalne ko utārū hai sabhī dukh dūr se guzre … aṭārī ko dharā se kis tarah āvāz de deṅ ham meṅhdiyā pāṇv ko kyoṅ dūr kā andāz de deṅ ham chale śhamśhān kī dehrī vahī hai sāth kī saṅjñā baraf ke ek but ko āsthā kī āṇch kyoṅ deṅ ham hameṅ apne sabhī bisreṅ bisarte hī chale jāeṅ magar sudhiyāṇ umar bhar sāth chalne ko utārū hai sabhī dukh dūr se guzre … sukhoṅ kī āṇkh se to bāṅchnā ātā nahīṅ hamko sukhoṅ kī sākh se to āṇknā ātā nahīṅ hamko chaleṅ chalte raheṅ umar bhar ham pīr kī rāheṅ sukhoṅ kī lāj se ḍhāṅpnā ātā nahīṅ hamko nihore dūr se guzreṅ guzarte hī chale jāeṅ magar anaban umar bhar sāth chalne ko utārū hai sabhī dukh dūr se guzre …