Aap mujhe achchhe lagne lage

आप मुझे अच्छे लगने लगे
Year
Language

आप मुझे अच्छे लगने लगे
सपने सच्चे लगने लगे
नैन सारी रैन जगने लगे

बातें यहीं होने लगी गाँव में
छूपती फिरूँ मैं धूप में छांव में
जंजीरे फौलाद की हैं पाँव में
मगर छनछनन घुंगरू बजने लगे

अँखियों को भेद खोलना आ गया
मेरे मन को भी डोलना आ गया
खामोशी को बोलना आ गया
देखो, गीत मेरे मुख पे सजने लगे

āp mujhe achchhe lagne lage
sapne sachche lagne lage
nain sārī rain jagne lage

bāteṅ yahīṅ hone lagī gāṇv meṅ
chhūptī phirūṇ maiṅ dhūp meṅ chhāṅv meṅ
jaṅjīre phaulād kī haiṅ pāṇv meṅ
magar chhanchhanan ghuṅgrū bajne lage

aṇkhiyoṅ ko bhed kholnā ā gayā
mere man ko bhī ḍolnā ā gayā
khāmośhī ko bolnā ā gayā
dekho, gīt mere mukh pe sajne lage