Aap ke haseen rukh pe aaj nayaa noor hai

आप के हसीन रुख पे आज नया नूर है
Year
Language

आप के हसीन रुख़ पे आज नया नूर है
मेरा दिल मचल गया तो मेरा क्या कसूर है
आप के निगाह ने कहा तो कुछ ज़रूर है
मेरा दिल मचल गया तो मेरा क्या कसूर है

खुली लटों की छाँव में खिला खिला ये रूप है
घटा से जैसे छन रही, सुबह सुबह की धूप है
जिधर नज़र मुड़ी, उधर सुरूर ही सुरूर हैं

झूकी झूकी निगाह में भी हैं बला की शौखियाँ
दबी दबी हसी में भी तड़प रही हैं बिजलियाँ
शबाब आप का नशे में खुद ही चूर चूर है

जहाँ जहाँ पड़े कदम वहाँ फ़िज़ा बदल गई
के जैसे सरबसर बहार आप ही में ढल गई
किसी में ये कशिश कहाँ जो आप में हुजूर है

āp ke hasīn rukh pe āj nayā nūr hai
merā dil machal gayā to merā kyā kasūr hai
āp ke nigāh ne kahā to kuchh zarūr hai
merā dil machal gayā to merā kyā kasūr hai

khulī laṭoṅ kī chhāṇv meṅ khilā khilā ye rūp hai
ghaṭā se jaise chhan rahī, subah subah kī dhūp hai
jidhar nazar muṛī, udhar surūr hī surūr haiṅ

jhūkī jhūkī nigāh meṅ bhī haiṅ balā kī śhaukhiyāṇ
dabī dabī hasī meṅ bhī taṛap rahī haiṅ bijliyāṇ
śhabāb āp kā naśhe meṅ khud hī chūr chūr hai

jahāṇ jahāṇ paṛe kadam vahāṇ fizā badal gaī
ke jaise sarbasar bahār āp hī meṅ ḍhal gaī
kisī meṅ ye kaśhiśh kahāṇ jo āp meṅ hujūr hai