आप के हसीन रुख़ पे आज नया नूर है
आप के हसीन रुख़ पे आज नया नूर है
मेरा दिल मचल गया तो मेरा क्या क़ुसूर है
आप की निगाह ने कहा तो कुछ ज़ुरूर है
मेरा दिल मचल गया तो मेरा क्या क़ुसूर है
खुली लटों की छाँव में खिला-खिला सा रूप है
घटा पे जैसे छा रही सुबह-सुबह की धूप है
जिधर नज़र मुड़ी उधर सुरूर ही सुरूर है
मेरा दिल …
झुकी-झुकी निगाह में भी हैं बला की शोख़ियाँ
दबी-दबी हंसी में भी तड़प रही हैं बिजलियाँ
शबाब आप का नशे में ख़ुद ही चूर-चूर है
मेरा दिल …
जहाँ-जहाँ पड़े कदम वहाँ फ़िज़ां बदल गई
कि जैसे सर-बसर बहार आप ही में ढल गई
किसी में ये कशिश कहाँ जो आप में हुज़ूर है
मेरा दिल …
āp ke hasīn rukh pe āj nayā nūr hai
merā dil machal gayā to merā kyā qusūr hai
āp kī nigāh ne kahā to kuchh zurūr hai
merā dil machal gayā to merā kyā qusūr hai
khulī laṭoṅ kī chhāṇv meṅ khilā-khilā sā rūp hai
ghaṭā pe jaise chhā rahī subah-subah kī dhūp hai
jidhar nazar muṛī udhar surūr hī surūr hai
merā dil …
jhukī-jhukī nigāh meṅ bhī haiṅ balā kī śhokhiyāṇ
dabī-dabī haṅsī meṅ bhī taṛap rahī haiṅ bijliyāṇ
śhabāb āp kā naśhe meṅ khud hī chūr-chūr hai
merā dil …
jahāṇ-jahāṇ paṛe kadam vahāṇ fizāṅ badal gaī
ki jaise sar-basar bahār āp hī meṅ ḍhal gaī
kisī meṅ ye kaśhiśh kahāṇ jo āp meṅ huzūr hai
merā dil …