Aap aaye to khayaal-e-dil-e-naashaad aayaa

आप आये तो ख़याल-ए-दिल-ए-नाशाद आया
Work
Year
Language

आप आये तो ख़याल-ए-दिल-ए-नाशाद आया
कितने भूले हुए ज़ख्मों का पता याद आया
आप आये …

आप के लब पे कभी अपना भी नाम आया था
शोख नज़रों से मुहब्बत का सलाम आया था
उम्र भर साथ निभाने का पयाम आया था
आपको देख के वो अहद-ए-वफ़ा याद आया
कितने भूले हुए ज़ख्मों का पता याद आया
आप आये …

रूह में जल उठे बुझती हुई यादों के दिये
कैसे दीवाने थे हम आपको पाने के लिये
यूँ तो कुछ कम नहीं जो आपने अहसान किये
पर जो माँगे न पाया वो सिला याद आया
कितने भूले हुए ज़ख्मों का पता याद आया
आप आये …

आज वो बात नहीं फिर भी कोई बात तो है
मेरे हिस्से में ये हल्की सी मुलाक़ात तो है
ग़ैर का हो के भी ये हुस्न मेरे साथ तो है
हाय किस वक़्त मुझे कब का गिला याद आया
कितने भूले हुए ज़ख्मों का पता याद आया
आप आये …

āp āye to khayāl-e-dil-e-nāśhād āyā
kitne bhūle hue zakhmoṅ kā patā yād āyā
āp āye …

āp ke lab pe kabhī apnā bhī nām āyā thā
śhokh nazroṅ se muhabbat kā salām āyā thā
umr bhar sāth nibhāne kā payām āyā thā
āpko dekh ke vo ahad-e-vafā yād āyā
kitne bhūle hue zakhmoṅ kā patā yād āyā
āp āye …

rūh meṅ jal uṭhe bujhtī huī yādoṅ ke diye
kaise dīvāne the ham āpko pāne ke liye
yūṇ to kuchh kam nahīṅ jo āpne ahsān kiye
par jo māṇge na pāyā vo silā yād āyā
kitne bhūle hue zakhmoṅ kā patā yād āyā
āp āye …

āj vo bāt nahīṅ phir bhī koī bāt to hai
mere hisse meṅ ye halkī sī mulāqāt to hai
ġhair kā ho ke bhī ye husn mere sāth to hai
hāy kis vaqt mujhe kab kā gilā yād āyā
kitne bhūle hue zakhmoṅ kā patā yād āyā
āp āye …