Aap aa jaaen to ... duniyaa men aisaa kahaan sabkaa naseeb hai

आप आ जाएँ तो ... दुनिया में ऐसा कहाँ सबका नसीब है
Work
Year
Language

आप आ जाएँ तो दिल को क़रार आ जाए

दुनिया में ऐसा कहाँ सबका नसीब है
कोई-कोई अपने पिया के करीब है
दुनिया में ऐसा …

दूर ही रहते हैं उनसे किनारे
जिनको न कोई माँझी पार उतारे -2
साथ है माँझी तो किनारा भी करीब है
दुनिया में ऐसा …

चाहे बुझा दे कोई दीपक सारे
प्रीत बिछाती जाए राहों में तारे -2
प्रीत दीवानी की कहानी भी अजीब है
दुनिया में ऐसा …

बरखा की रुत हो या दिन हों बहार के
लगते हैं सूने-सूने बिन तेरे प्यार के -2
तू है तो ज़िन्दगी को ज़िन्दगी नसीब है
दुनिया में ऐसा …

āp ā jāeṇ to dil ko qarār ā jāe

duniyā meṅ aisā kahāṇ sabkā nasīb hai
koī-koī apne piyā ke karīb hai
duniyā meṅ aisā …

dūr hī rahte haiṅ unse kināre
jinko na koī māṇjhī pār utāre -2
sāth hai māṇjhī to kinārā bhī karīb hai
duniyā meṅ aisā …

chāhe bujhā de koī dīpak sāre
prīt bichhātī jāe rāhoṅ meṅ tāre -2
prīt dīvānī kī kahānī bhī ajīb hai
duniyā meṅ aisā …

barkhā kī rut ho yā din hoṅ bahār ke
lagte haiṅ sūne-sūne bin tere pyār ke -2
tū hai to zindgī ko zindgī nasīb hai
duniyā meṅ aisā …