आओ सुनें ... लहरों से धुले नग़में
आओ सुनें आओ सुनें
लहरों से धुले नग़में
सपनों में घुले नग़में
आओ ना आओ ना
आओ सुनें …
सोई सोई है फ़िज़ा है नीला नीला समां
डूबे हुए प्यार में हम आए हैं ये कहां
मेहरबां हैं यहां नीले पानी की गहराईयां
आओ सुनें …
बहती हैं जैसे यहां मुलायम रोशनियां
घेरे हैं जैसे हमें हज़ारों रागनियां
ना कहीं है ज़मीं ना कहीं है कोई आसमां
आओ सुनें …
āo suneṅ āo suneṅ
lahroṅ se dhule naġhmeṅ
sapnoṅ meṅ ghule naġhmeṅ
āo nā āo nā
āo suneṅ …
soī soī hai fizā hai nīlā nīlā samāṅ
ḍūbe hue pyār meṅ ham āe haiṅ ye kahāṅ
meharbāṅ haiṅ yahāṅ nīle pānī kī gahrāīyāṅ
āo suneṅ …
bahtī haiṅ jaise yahāṅ mulāyam rośhniyāṅ
ghere haiṅ jaise hameṅ hazāroṅ rāgniyāṅ
nā kahīṅ hai zamīṅ nā kahīṅ hai koī āsmāṅ
āo suneṅ …