Aao hujoor tum ko, sitaaron men le chaloo

आओ हुजूर तुम को, सितारों में ले चलू
Work
Year
Language

आओ हुजूर तुमको, सितारों में ले चलूँ
दिल झूम जाए ऐसी, बहारों में ले चलूँ

हमराज, हमखयाल तो हो, हमनजर बनो
तय होगा जिन्दगी का सफ़र, हमसफ़र बनो
चाहत के उजले उजले, नजारों में ले चलूँ
दिल झूम जाए ऐसी, बहारों में ले चलूँ

लिख दो किताब-ए-दिल पे कोई ऐसी दास्ताँ
जिस की मिसाल दे न सके सातों आसमान
बाहों में बाहे डाले, हजारों में ले चलूँ
दिल झूम जाए ऐसी, बहारों में ले चलूँ

āo hujūr tumko, sitāroṅ meṅ le chalūṇ
dil jhūm jāe aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ

hamrāj, hamakhyāl to ho, hamanjar bano
tay hogā jindgī kā safar, hamasafar bano
chāhat ke ujle ujle, najāroṅ meṅ le chalūṇ
dil jhūm jāe aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ

likh do kitāb-e-dil pe koī aisī dāstāṇ
jis kī misāl de na sake sātoṅ āsmān
bāhoṅ meṅ bāhe ḍāle, hajāroṅ meṅ le chalūṇ
dil jhūm jāe aisī, bahāroṅ meṅ le chalūṇ