Aao hamaare hotal men

आओ हमारे होटल में
Work
Year
Language

आओ हमारे होटल में
चाय पियो जी गरम-गरम
बिस्कुट खाओ नरम-नरम
जो दिल चाहे मांग लो हमसे
सब कुछ है भगवान कसम

गर्मी हो शरबत पीकर कर लो दिल को ठण्डा
सरदी हो तो खा लो भैया इक मुर्गी का अण्डा
इस होटल के अन्दर आकर ले लो बाबू नया जनम

बात बनेगी हम दोनों की पूछो वो कैसे
तुम होंठों में चमचा रखो हम पाकेट में पैसे
जिन क़दमों पर पैसे बरसें दुनिया चूमे वही क़दम्

āo hamāre hoṭal meṅ
chāy piyo jī garam-garam
biskuṭ khāo naram-naram
jo dil chāhe māṅg lo hamse
sab kuchh hai bhagvān kasam

garmī ho śharbat pīkar kar lo dil ko ṭhaṇḍā
sardī ho to khā lo bhaiyā ik murgī kā aṇḍā
is hoṭal ke andar ākar le lo bābū nayā janam

bāt banegī ham donoṅ kī pūchho vo kaise
tum hoṅṭhoṅ meṅ chamchā rakho ham pākeṭ meṅ paise
jin qadmoṅ par paise barseṅ duniyā chūme vahī qadam