Aansooon kee chhaanv men bhee hans le o dilvaale

आंसूओं की छांव में भी हंस ले ओ दिल्वाले
Work
Year
Language

( आंसूओं की छांव में भी हंस ले ओ दिल्वाले
क़िस्मत के उलझे हुए जाल को सुलझा ले ) -2

चुप भी ग़म की गोद में पलता है -2
डूब भी सुरज फिर निकलता है
मौसम बदलता है
बन जायेगी बिगडी हुई बात भी मतवाले

आंसूओं की छांव में भी हंस ले ओ दिल्वाले
क़िस्मत के उलझे हुए जाल को सुलझा ले

गीत खामोशी का सुहाना है -2
हर धडकन एक शोख़ तराना है
मासूम फ़साना है
सुन ले ज़रा दिल की सदा अरे ओ भोले भाले

( आंसूओं की छांव में भी हंस ले ओ दिल्वाले
क़िस्मत के उलझे हुए जाल को सुलझा ले ) -2

( āṅsūoṅ kī chhāṅv meṅ bhī haṅs le o dilvāle
qismat ke uljhe hue jāl ko suljhā le ) -2

chup bhī ġham kī god meṅ paltā hai -2
ḍūb bhī suraj phir nikaltā hai
mausam badaltā hai
ban jāyegī bigḍī huī bāt bhī matvāle

āṅsūoṅ kī chhāṅv meṅ bhī haṅs le o dilvāle
qismat ke uljhe hue jāl ko suljhā le

gīt khāmośhī kā suhānā hai -2
har dhaḍkan ek śhokh tarānā hai
māsūm fasānā hai
sun le zarā dil kī sadā are o bhole bhāle

( āṅsūoṅ kī chhāṅv meṅ bhī haṅs le o dilvāle
qismat ke uljhe hue jāl ko suljhā le ) -2