Aankhon men ... ye saare ghar hain tumhaare

आँखों में ... ये सारे घर हैं तुम्हारे
Work
Year
Language

आँखों में रहो बाहों में रहो
होंठों पे रहो या दिल में रहो
ये सारे घर हैं तुम्हारे
जहाँ भी दिल चाहे रहो हाँ

साँसों में रहो धड़कन में रहो
पलकों में रहो ज़ुल्फ़ों में रहो
ये सारे घर हैं …

पास हमारे आना अब तो बिन बुलाए आ जाना
कोई निशानी दे जाना
थोड़ी सी खुश्बू ले जाना
यादों में रहो ख्वाबों में रहो
रातों में रहो या दिन में रहों
ये सारे घर हैं …

आज ना जाने ये क्‌या हुआ है
कोई ज़रा ये समझाए
इतना सुरूर छाया है
जी करता है मर जाएँ
वादों में रहो कसमों में रहो
आँचल में रहो काजल में रहो
ये सारे घर हैं …

āṇkhoṅ meṅ raho bāhoṅ meṅ raho
hoṅṭhoṅ pe raho yā dil meṅ raho
ye sāre ghar haiṅ tumhāre
jahāṇ bhī dil chāhe raho hāṇ

sāṇsoṅ meṅ raho dhaṛkan meṅ raho
palkoṅ meṅ raho zulfoṅ meṅ raho
ye sāre ghar haiṅ …

pās hamāre ānā ab to bin bulāe ā jānā
koī niśhānī de jānā
thoṛī sī khuśhbū le jānā
yādoṅ meṅ raho khvāboṅ meṅ raho
rātoṅ meṅ raho yā din meṅ rahoṅ
ye sāre ghar haiṅ …

āj nā jāne ye k‌yā huā hai
koī zarā ye samjhāe
itnā surūr chhāyā hai
jī kartā hai mar jāeṇ
vādoṅ meṅ raho kasmoṅ meṅ raho
āṇchal meṅ raho kājal meṅ raho
ye sāre ghar haiṅ …