आँखों आँखों में न जाने क्या इशारे हो गए
र: आँखों आँखों में न जाने क्या इशारे हो गए
मुस्कुरा कर तुमने देखा हम तुम्हारे हो गए
आँखों आँखों में …
सु: रात-दिन की बेक़रारी उम्र भर की बेखुदी -2
दिल लगा कर कुछ तो जीने के सहारे हो गए
आँखों आँखों में …
र: हाय ये मासूम चेहरा ये अदा ये बाँकपन -2
तुझसे मिल के रंग दिल के और प्यारे हो गए
आँखों आँखों में …
सु: तुमको पा कर इस जहाँ में हमने सब कुछ पा लिया
र: तुमको पा कर इस जहाँ में हमने सब कुछ पा लिया
दो: अब हमें क्या चाहिए जब तुम हमारे हो गए
आँखों आँखों में …
ra: āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ na jāne kyā iśhāre ho gae
muskurā kar tumne dekhā ham tumhāre ho gae
āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ …
su: rāt-din kī beqrārī umr bhar kī bekhudī -2
dil lagā kar kuchh to jīne ke sahāre ho gae
āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ …
ra: hāy ye māsūm chehrā ye adā ye bāṇkapan -2
tujhse mil ke raṅg dil ke aur pyāre ho gae
āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ …
su: tumko pā kar is jahāṇ meṅ hamne sab kuchh pā liyā
ra: tumko pā kar is jahāṇ meṅ hamne sab kuchh pā liyā
do: ab hameṅ kyā chāhie jab tum hamāre ho gae
āṇkhoṅ āṇkhoṅ meṅ …