Aankhen pyaaree hain ... jo mere seene men

आँखें प्यारी हैं ... जो मेरे सीने में
Year
Language

आँखें प्यारी हैं बातें प्यारी हैं
पर सबसे प्यारा तेरा दिल है
जो मेरे सीने में धड़कता है धड़कता है
आँखें प्यारी …

मौक़ा भी है मौसम भी है हैं अरमान मस्ती भरे
होता है जो हो जाने दो हैं ये हालात बदले हुए
तड़पता है मन मेरा मचलता है तन मेरा
हो तेरे प्यार का एक शोला है
जो मेरे सीने में भड़कता है भड़कता है

मुश्क़िल बड़ा कहना है ये मेरी साँसों में तूफ़ान है
रोको नहीं कह दो सनम तुझपे क़ुर्बान ये जान है
नहीं तुम बिन अब गुजारा मेरे दिल का तू सहारा
ओ तेरे प्यार का इक सावन है
जो मेरे सीने में बरसता है बरसता है
आँखें प्यारी …

āṇkheṅ pyārī haiṅ bāteṅ pyārī haiṅ
par sabse pyārā terā dil hai
jo mere sīne meṅ dhaṛaktā hai dhaṛaktā hai
āṇkheṅ pyārī …

mauqā bhī hai mausam bhī hai haiṅ armān mastī bhare
hotā hai jo ho jāne do haiṅ ye hālāt badle hue
taṛaptā hai man merā machaltā hai tan merā
ho tere pyār kā ek śholā hai
jo mere sīne meṅ bhaṛaktā hai bhaṛaktā hai

muśhqil baṛā kahnā hai ye merī sāṇsoṅ meṅ tūfān hai
roko nahīṅ kah do sanam tujhpe qurbān ye jān hai
nahīṅ tum bin ab gujārā mere dil kā tū sahārā
o tere pyār kā ik sāvan hai
jo mere sīne meṅ barastā hai barastā hai
āṇkheṅ pyārī …